Letra Kabir Singh - Bekhayali

Bekhayali mein bhi tera
hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori
ye sawaal aaye
Teri nazdeekiyon ki khushi
behisaab thi
Hisse mein faasle bhi tere
bemisaal aaye

Main jo tumse door hoon
Kyun door main rahoon
Tera guroor hoon
Aa tu faasla mita
Tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod doon
ooo ooo ooo ooo
ooo ooo ooo ooo

Bekhayali mein bhi tera
hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori
ye sawaal aaye
Thoda sa main khafa ho gaya
apne aap se
Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi
malaal aaye


Hai ye tadpan
Hai ye uljhan
Kaise jee loon bina tere
Meri ab sab se hai annban
Bante kyun ye Khuda mere


Ye jo log-baag hain
Jungle ki aag hain
Kyun aag mein jalun...
Ye nakaam pyaar mein
Khush hain haar mein
Inn jaisa kyun banun oo...
ooo ooo ooo ooo
ooo ooo ooo ooo

Raatein dengi bata
Neendon mein teri hi baat hai
Bhoolun kaise tujhe
Tu toh khayalon mein saath hai
Bekhayali mein bhi tera
hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori
ye sawaal aaye

Nazaron ke aage har ik manzar
Ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhaara badan mein mere
Zeher ki tarah utar raha hai
Nazaron ke aage har ik manzar
Ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhaara badan mein mere
Zeher ki tarah utar raha hai

Aa zamaane aazma le roothta nahin
Faaslon se hausla ye toot'ta nahin
Naa hai woh bewafa aur na
main hoon bewafa
Woh meri aadaton ki tarah
chhoot'ta nahin